Thursday, May 1, 2014

Dil Ki Aahat -Kalpita



Jindagi ki karbato me kavi kavi hame koi esa mil jata he jise ham kavi samajh nehi pate.hamara dil itna bekhabar hota he ki use pehchanne me der ho jati he.jab ham samajh jate he jindagi khubsurat lagne lagti he.lekin kavi kavi samajhne me itna waqt lagta he us bich jindagi hame bahat kuch sikha jati he. Ek ladka tha jiska naam tha Nishant.bahat hi bindass swabhav ka tha wo.kisiki care karna,classmates se thik se baat karna ye sab to use ata hi nehi tha.sab paeresan rehte the uske behavier se.wo teachers ke samne bahat achha banta tha.lekin unke pichhe unki chugli karta rehta tha.teachers to use masum samajhte the.lekin wo to ulta hi tha.uske papa use hamesa date rehte the.par uski mummy use bahat pyar karti thi.pahai karta tha lekin utna acha nehi or bura v nehi.jo v tenson aaye use kavi uski parwa nehi hota tha.wo dikhne me bahat handsom tha to ladkia use ache se pat jati thi.isi baat ka use gurur tha.wo sochta tha ki ladkiya patana uske liye koi badi baat nehihe.isiliye wo kisi ladki ko utna vaaw nehi deta tha.wo hamesa kuch na kuch karta rehta tha.isliye uske papa usse paresan ho gaye.
unhone use ek alag seher ke college me addmisson kar diya.dusre din use naye college ke nikalna pada.wahan jaa kar pehle din wo chup chap raha.lekin uske baa uski badmasi fir suru ho gayi.wahan pe v sab usse paresan rehne lage.ladkian wahan v use pasand karte the to us fir se gurur ho gayatha.jo v ho lekin wo dil ka bura nehi tha.fir v wo uparse sabko ikhata tha ki wo bura he.pata nehi kyu.ye sayad use hi pata hoga.jab wo sad hota tha to wo akele me kuch der rehleta tha.lekin kisi ke samne nehi kehta tha.uske college me ek lecture the wo unhe hi thoda care karta tha.kyu ki wo use ache se samajhte the.wo sab kuch to nehi lekin kuch kuch dil ki bate unse jarur share karta tha.unka naam tha Mr.amit Sharma.wo unhe amit sir bulata tha.samay gujar ne ke sath wo unke bahat close ho gaya tha.wo uske paresani me use suggestion dete the jisse wo thoda halka mehsus karta tha.ghar se dur hoke v use unke pass ek apnapan sa lagta tha.wo use baar baar samjhate the kikyu wo ye badmasiya karta he.wo to dil ka achha he.sab ke samne bura kyu banta he.ese to wo unki har baat suntan tha.lekin ye baat nehi sunta tha.ek din wo apne dost ke sath ek jagah gaya tha.wahan pe wo log ghumte ghumte ek esi jagah pahunche jahan par ek admi apni old maa ko berehmi se maar raha tha.
yedekh kar nishant khud ko sambhal nehi paya.wo us admi ke pass gaya or us budhi aurat ko usse chudaya.wo usko dhamki dene jesa kaha dekho agar fir ye sab karne ki sochi v to mujhse bura koi nehihoga.us budhi aurat ne use kaha ye to roj ki baat he.yesun kar nishant or v guss ho gaya.wo us budhi aurat ko apne sath le aaya.wo to akela rahta tha.to unko kaha aap mere sath rehna.us bhudhi aurat ka naam tha radha.nishant unhe dadi bulane laga.wo v use apne hi pote jesa pyar karne lagi.lekin isi bich nishant ye bhul gaya ki us din uske dosto ne ye dekha hoga ki wo acha he.ab sayad uski care na kare.ye soch kar wo jab college gaya tab uske dost ek jagah beth ke ye bate kar rahe the ki nishant kitna acha he.hum use kitne galat sochte the.ye sab nishant ne suna to wo unke age gaya or bolne laga kit um log galat phemi me mat raho kime us budhi ko ghar me muft me rakhne ke liye laya hu.use to me ghar ke kaam ke liye laya hu.to jyaa khus hone ki jarurat nehi.wo sab heran ho gaye.kuch din bit gaya.ek din nishant ko ye pata chla ki amit sir bimar he.wo jaldi se unke pass gaya.wo din raat unki seba karne laga.uske dost fir se sochne lage ki sach me ye achha he .lekin uparse itna bura kyu banta he.har baar ki tarah is baar v nishant ne ek or bahana bana kar baat ko taal diya.par tabse uske dosto ke dil me uski
ek achhi image ban gayi thi.jise wo khud v nehi mita sakta tha.ek din wo dadi ke pass beth kar nishant kuch baat kar raha tha.dadi use samjha rahi thi ki usne ye bura banne ki dikhwa nehi karna chahiye.lekin nishant ne unki baat nehi suni.dadi ne use kaha aaj tum ese ho lekin dekhna ek din esa aayega tumhare jindagi me koi esa aayega jo tumhe bilkul badalke rakh dega.nishant ne unki baat ko seriously nehi liya.or hasi me uda diya.kuch din uske sath reh kar wo use ache se samajh gayi thi.wo ek din akela ek raste se gujar raha tha.tabhi usne ek chote bache ko dekha.wo akela beth ke ro raha tha.nishant uske pass gaya.usne pucha kyu ro rahe ho.usne kaha meri ek chij kho gayi he.nishant ne puchha kya?usne kaha mera best friend kho gaya he.uski bate sun kar nishant chup ho gaya.kuch der baad usne us ladke se puchha ese kyu keh rahe ho.dost v kabhi khota he kya.achha batao kahan khoya?us bache ne kaha hum garden me khel rahe the tab kuch bade ladke aaye or wok ho gaya.nishant fir se kehne laga chalo mere sath.wo usi garden me gaya uske dost ko dhund ne ke liye.uska dost ek jagah khada hoke ro raha tha.wo use uske pass le gaya.wo dono ek dusre ko dekh kar bahat khus ho gaye.un dono ne ek dusre ko hug kiya.un dono ne nishant ko kaha bhaiya agar aapka v koi dost kho gaya hoga
to aapko jarur mil jayega.unki baat sun kar nishant ne thoda muskuraya or wahan se chala gaya.ghar lautne ke baad wo kuch der akela rehne ke liye chat pe chala gaya.jab dadi use khan eke liye bulane aayi usne khane se mana kar diya.wo apne kamre me gaya or darwaja band kar diya.dadi paresan ho gayi.kuch der baad wo uske kamre me gayi.jab darwaja kholne gayi wo khula tha.wo andar gayi to unhone dekhaki nishant so gaya tha.wo uske paas gayi or uske mathe par thodi der hath ghumaya or fir darwaja band karke chali gayi.dusre din jab nishant uth ke bahar aaya usne dekha dadi subhah se kaam me lag gayi thi.unhone use bolakuch kha lo.rat se kuch nehi khaya.jab wo khane betha dadi ne use khana diya.fir unhone use puchha beta kal tumhe kya ho gaya tha?tumne khana kyu nehi khaya?nishant ko kal rat ki baat yaad aa gayi.usne kaha kuch nehi bas man nehi tha.jab wo khana khane hi jaa raha tha use yaad aaya dadi ne v to kuch nehi khaya hoga.wo use na khila ke kabhi nehi khati.usne unhe apne pass bithaya or unhena pehle khana khilaya.fir unhone use khana khila diya.isi tarah dono ne khana kha liya.wo college ke liye nikal gaya.wo classroom ki taraph jaa hi raha tha tabhi uske kuch dost aaye or uske haat par kuch bandh diya.or kehne laga happy friendship day.ye sun kar wo bahat gussa ho gaya.
wo kehne laga tum logo ki himmat kesi hui mujhe ye bandhne ki.fir usne wo apne haatho se nikal kar niche fek diya or classroom me chala gaya.pura din wo chup chup raha.usne kisi se baat nehi kia.college ke baad wo ghar pe aaya or fir se kamre me kuch der ke liye akela raha.dusre din jab wo college gaya to uske dosto ne usse mafi mangi.usne unhe maaf kar diya.unke college me ek baar ek art exhibition ho raha tha.wo dosto ke sath ghum raha tha.bahat sare log aaye the wahan.nishant sari arts par comments de raha tha apne dosto ko.har ek tasweer ki majak uda rahatha.par jab uski najar ek tasweer par padi to wo chup ho gaya.uske dosto ne puchha to usne kuch nehi kaha.wo kuch der us tassweer ko dekhta raha.kuch der baad koi sor hua.wo apne dosto ke sath wahan gaya.usne dekha kuch ladke ek handicap ladke ko paresaan kar rahe the.usse bahat gussa aaya.wo unke pass gaya.pehle usne us handicap ladke ko apne dosto ke pass choda.fir usne us ladke ko ek thapad mar jisne jo us handicap ladke ko paresan kar raha tha.usne kaha tumhe sarm nehi aata.ek ese ladke ko paresan kar rahe ho jo kuch nehi kar sakta.agar itni hi himmat he to mujhe paresan karke dekhlo.fir dekhenge tumhari bahaduri.tab tak wahan log ikathe ho gaye the.wo ladke wahan se chale gaye.sab logone nisant ke liye tali bajayi.
lekin wov wahan se chala gaya.kuch mahine gujar gayi.ek in unke class me ek nayi ladki aayi.nishant ne pehle ki tarah ho gaya tha.pehle jese wo sabko paresaan karta tha wese ab v karne laga tha.jis dinus ladki ne class me entry kia to wo apne dosto ko kehna laga dekhna sab ki tarah ye v jarur pat jayegi.wo ladki class me nayi thi to use pata nehi tha kahan bethe to wo nishant ke pass jake beth gayi.class ki ladkia uski taraf dekhne lagi.ladke v heran hoke uski taraf dekh rahethe.kyu ki nishant ke pass aaj tak koi ladki nehi bethi thi.sari ladkia sirf dur se hi use dekhti thi.nishant ke dosto ne use puchha aap aaj nayi ayi ho kya.usne kaha ji haan.aaj hi admission hua he.wo log ek dusre ki taraf dekh rahethe.nishant use kuch kehne hi wala tha tab lecture aa gaye.wo kuch nehi keh paya.use kuch ajib lag raha tha.wo soch raha tha koi ladki aaj tak himmat nehi kar payi mere pass bethne ka.har baar sab sarmate he ya fir darte he.ye to ate hi……………. Class khatm hote hi nishant use firse kehne wala tha kuch tabhi us ladki ne kaha thanks mujhe seat deneke liye.see you tomorrow bye.nishant fir se kuch keh nehi paya.dusre din jab wo college gaya pehle jesi wo ladki aayi or uske pass beth gayi.is baar nishant ne soch liya use kuch to bolna padega.class start nehi hua tha.us ladki ne use kaha myself trishna & u?
nishant use dekhta hi reh gaya.wo sochne laga ye to mujhe hi naam puchh rahi he.aaj tak to me ladkio ko naam puchta tha.usne kaha myself nishant.trishna ne kaha wese mujhe dost banana bahat pasand he.lekin yahan par lagta he thodi mehnat karna padega.tummujhe bata sakte ho ye sab mujhe ese kyu dekhte he.nishant kya bole kuch soch hi nehi paa raha tha.wo kisi v tarah chahta tha ki wo ladki kahin or jake bethe.use pasand nehi tha ki koi ladki uske pass bethe.trishna usse jo v puchti thi wo thik se uska jawab nehi de raha tha.fir v trishna bilkul v paresaan nehi hotithi.kuch hi din me class ke students samajh gaye wo acha padhti he.par nishant bahat paresan hota tha usse.trishna sabki help karne lagi thi.dhire dhire class me sabne usse dosti karli.wo ek din ek dusri ladki ke sath jake beth gaya.nishant bahat khus ho gaya.wo sochne laga chalo pichha chuta isse.wo trishna se baat karna nehi chahta tha.lekin jab trishna use milti thi to wo ache se baat karti thi.nishant ke kisi v behavior se wo naraj nehi hoti thi.sirf nishant hi kyu wo kisi se v naraj nehi hoti thi.sab use bahat pasand karte the.lekin nishant bilkul v nehi.wo kabhi trishna ko samajh hi nehi pata tha ki wo chahti kya he.kyu wo usse baat karti he.ek din trishna college aa rahi thi tabhi kuch ladke use paresan karne hi jaa rahe the
lekin wo ruk gaye jab unki najar padi nishant par.wo log wahan se chale gaye.nishant wahan se jane hi wala tha trishna ne kaha thankx.nishant ne kaha dekho jyada khus mat ho mene tumhare liye kuch nehi kia.wese v mujhe tumhare liye kuch karne ki koi interest nehi he.or wo chala gaya.trishna ne v kuch nehi kaha.kuch din bit gaya.unke college ka ek study tour hone wala tha.sab log bahat excited the.din bhar ghumne ke baad jab sham hui sab ne socha thoda naach gaana ho jaye.kisine dance kiya,kisine gana gaya to kisine acting ki.jab trishna ko kaha gaya to usne gana gaya..usne gaya ‘kismat se tum humko mile ho’.nishant tab idhar udhar dekh raha tha.kyu ki trishna ki koi v baat use pasand nehi thi.to gana kese pasand aata.sabne gana sun kar tali bajai.par nishant ne nehi.kuch din bit gaya.exams khatm ho gayi thi.vacation v hone wali thi.sab dost ek dusre se baate kar rahi thi.trishna v apni ek saheli ke saath baat kar rahi thi or nishant apne dosto se baat kar raha tha.tabhi trishna uthke uske pass gayi usne uski taraph dhyan nehi diya trishna ne puchha tum ka kya program he is vacation me.nishant ne tumhe kyu itni fikr he mere vacation ki.tumhar bareme socho.trishna gussa nehi hui.wo use kehne lagi me to painting sikhungi.nishant ne man hi man kaha to me kya karu.
fir usne use kaha thik he ab mujhe apne dosto se baat karni he keh kar wo dusre seat par chala gaya.trishna v apne jagah pe chali gayi.vacation ho gaya.ek mahine baad college khulne wala tha.isi bich ek din trishna ek jagah se gujar rahi thi.tabhi ek chote se puppy ko chot lagi thi.wo uske pass gayiusne apne rumal se use bandh rahi thilekin usse nehi ho raha tha.tabhi wahan pe nishant aaya usne ache se wo rumal us puppy ke chot pe laga diya.trishna ne kaha thanx.nishant ne kaha mene ye sab puppy ke liye kia tumhare liye nehi.or wo wahan se chala gaya.jab wo jaa raha tha trishna use dekhti hi rahi uske jane tak.ese hi ek din bahat barish ho rahi thi.trishna akeli ek dukan ke pass khadi hui thi.uske pass chhata nehi thawo thoda thoda hig v gayi thi.tabhi wahan se nishant jaa raha tha.uski najar trishna par padi usne use sath chalne ko kaha.trishna pure raste sirf nishant ko hi dekh rahi thi.jab uska ghar aa gaya usne nishant ko thanx kaha.nishant ne kaha it’s ok or wahan se chala gaya.trishna ghar pe aayi to uski nani ne use kaha bhig gayi ho kapde change karlo.jab wo kapde change karke aayi usne apni nani se kaha nani ek baat kehni he.wo college me ek ladka he.sabki help karta he.bahat achha v he lekin jab dekho gusse me rehta he.akhir esa kyu he.nani ne kaha mujhe lagta he jarur uske past me kuch esa hua hoga
jise wo esa ho gaya.wese tu itna kyu soch rahi he.kahin…………………………………. Trishna ne kaha nehi nehi esi baat nehi he.fir wo apne kamre me chali gayi.wo nani ki baate hi soch rahi thi.usne socha kya wo nishant ko pasand karti he?bahat socha lekin use koi jawab nehi mila.ek din fir se trishna ne dekha nishant kuch chote bacho ke sath khel raha he.pehli baar usne nishant ko is mood me dekha.use bahat achha laga.wo wahan se chup chap chali gayi.ek din use ek dost mila jo uske class me hi padhta he.usse bate karte karte trishna ne use pucha nishant tumhara dost he na.kya tum bata sakte ho uske past me kuch esa hua tha kya jisse wo esa ho gayaus dost ne kaha mujhe itna to nehi pata lekin sayad kuch hua tha.wo kisi se ye sab share nehi karta.lekin ho sakta he usne amit sir ko kuch bataya hoga kyu ki unhe wo bahat manta he.trishna ne ok bye.dusre din wo amit sir ke pass gayi.unhone uski baat sun kar use kaha tum jesa soch rahi ho sayad esa hi kuch he.wo mujhse sari bate share karta he lekin is bare me kuch nehi kaha.mujhe lagta he ki koi taklif he jo use bar ar paresan kar rahahe.me use samajhta hu.wo bahat achha ladka he.lekin wo sirf upar se esa banta he.unse ye sab sun kar trishna wahan se laut aayi wo sirf ye sochne lagi ki to sach me kuch esa he jiski wajah se wo itna paresanhe.me jarur uski
madat karungi.ye sab soch kar wo nishant ke usi dost ke pass gayi.usse nishant ke mummy papa ka addresh liya or wo uske ghar jane ke liye nikal gayi.jab wo nishant ke ghar pahunchi uske mummy papa ne use nehi pehchana.usne kaha wo nishant ki dost he.fir usne unse kuch baate ki or kaha sach bolu to sayad use koi paresani he kya.kuch hua tha kya uske sath.uske papa ne kaha esa to kuch hum nehi jant.lekin haan jab wo high school me padhta tha to kuch hua tha lekin mujhe iske bareme jyada kuch pata nehi.trishna wahan se laut aayi.wo apne kamre jake sochne lagi.tabhi nani aayi.unhone kaha kuch hua?kuch pata chala nishant ke bare me.trishna ne kaha ab tak to kuch nehi.lekin me kuch na kuch jarurkarungi.me use taklif me nehi dekh sakti.nani ne kaha tu janti he ek baat?trishna ne kaha kya?nani ne kaha tumhe pyar ho gaya he nishant se.trishna ne kaha nehi nani esa nehi he.nani ne kaha yahi sach he.jise tu nehi samajh nehi paa rahi he.me manti hu dosti ke liye ye sab hota he.lekin tumhari ankho me mene nishant ke liye wo chamak dekha he jise pyar kehte he.unhone fir se kaha tum soch lo raat bhar fir subah mujhe batana ki me sahi thi ya galat.wo wahan se chali gayi.trishna usi bare me sochne lagi.use v esa lagne laga tha ki wo sayad sach me nishant se pyar karti he
.lekin pehle use uski taklifo se bahar nikalna jaruri he.dusre din usne apni nani se ye sab kaha.nani ne uska sath diya.kuch din baad college khul gaya.trishna jab college pahunchi tab nishant apne dosto ke sath kisi wajah se has raha tha.use dekh kar trishna sochne lagi dil me na jane kitni taklife hogi fir v ye jhuti muskan?lekin or nehi me tumhari sari taklifo ko tumse dur le jaungi.sari khusia jise tumne apne aap se dur kia he use wapas laungi.usi waqt uskiek saheli aai or wo uske sath class me chaligayi.us din college me kisi wajah se nishant ki dadi aayi thi.lekin unhe ye pata nehi tha nishant kahan he.tab trishna unke pass gayi or puchha aap kise dhund rahe he?unhone kaha nishant ko.trishna ne kaha me uski frnd hu.wese kya aap se me kuch baat karsakti hu?unhone haan kaha.dono college ke garden me gaye or bate karne lage.trishna ne unse nishant ke past ke bare me puchhaunhone kaha beti me uski apni dadi nehi hu.me sirf uske sath rehti hu.wo to mere apne pote se v jyada he mere liye.bahat achha he wo.sirf sabke samne bura banta he.bahat masum sa dil he uske pass upar se rukha dikhta he.trishna ne kaha me uski usi masum dil ko sab ke samne lana chahti hu.kya ap meri madat karengi.dadi ne kaha jarur.aaj tumhari bato se lagta he kit um hi ho jo mere nishant ki jindagi me khusia la sakti ho.
aaj tak uske bare me sochne wala koi nehi thakyu ki sab samajhte he wo kisi se mil nehi sakta ache se.lekin tumne uske dil ko ache se samjha.mujhe puri umeed he beti tumjarur apne maksad me kamiab hogi.unke ankho me ansu aa gaye.trishna ne unke ansu poche.tabhi nishant wahan aa gaya.usne dadi se kaha tum isse kyu baat kar rahi ho.chalo mere sath.or unhe wahan se leke chala gaya.ek din dadi nishant ka karma saaf kar rahi thi tabhi unki najar padi ek letter par jo niche gira hua tha.unhone is bare me trishna ko bataya.wo nishant ke ghar pe.tab nishant ghar pe nehi tha.unhone wo letter use dikhaya.trishna wo letter padhne lagi.usme likha tha Dear nishant, Me janta hut um mujhse naraj ho.lekin mera yakin karo mene tumhare bare me principle se kuch v jhut nehi bola.me kavi tumhari narajgi nehi sheh sakta.age tumhara birthday aa rahahe.is birth day ko me tumhare liye khas banana chahta hu.umeed he ye letter padhke tumhari narajgi kuch kam ho gayi hogi.agar nehi hui he to me mafi mangene ke liye tayar hu.tum mere sabse ache dost ho na.toapne dost se baat nehi karoge?me god se prayer karunga tum hamesa khus raho.be happy & keep smiling. Your friend sravan uske niche ek tasweer banayi gayi thi do dosto ki.wo letter padhke trishna ke ankho se anshu nikal gaye.usne dadi se kaha dadi
ye nishant ke friend ka letter he.is me usne nishant se mafi mangi he.jaarur is letter me kuch to he jo usne ise ab tak apne pass rakha he.kuch der baad wo ghar laut aayi.wo nishant ke bare me soch rahi thi.uske ankho se asu behte jaa rahe the.dusre din wo amit sir ke pass gayi to unhone use kaha ki nishant apne family se bahat hi gussa rehta he.pata nehi kyu.lekin jab v me is bare me puchhta to wo kuch naraj sa ho jata.trishna classroom me gayi.jab nishant class me aaya wo uske pass gayi.tab jyada students nehi aaye the to usne nishant se kaha nishant mujhe kuch puchhna he tumse.nishant ne kaha mere pass time nehi he.usne kaha bas ek baat.nishant ne kaha pucholekin jaldi.trishna ne kaha tum mujhe apne parents ke bareme kuch batao.ye sun kar nishant gussa ho gaya.usne gusse se kaha tumhe ye sab janne ki jarurat nehi.or haan tum mujhse or mere matters se dur hi raho.or aainda muhe kisi v bare me mat puchna.wo wahan se chala gaya.trishna ko laga ki jarur koi baat he.wo dusre din hi uske papa mummy ke pass gayi.or ye sab baate unko bataya.wo log ye sun kar bahat dukhi hue.uske papa ne kaha high school me jab wo 9th padhta tha tabse wo esa ho gaya he.puche to kuch nehi batata.beti hum use bahat pyar karte he.use ghut te hue nehi dekh sakte isiliye hamne use is seher se dur bhej diya
he.trishna ne kaha uncle me aap se wada karti hu me jarur uski paresaani dur karungi.usne nishant ka karma dikhne ko kaha to nishant ki mummy ne use dikha diya.jab wo kamre me gayi use ek box mila.usne uske parents se puch ke wo box apne sath le ke aa gayi.jab wo ghar pe aayi usne socha wo box kholegi lekin fir usne socha ki ye box nishant ko hi kholana chahiye.usne wo box rakh diya.kuch din bit gayi.trishna ne nishant ko uske dosto ke jariye ek parkme bulaya.wahan pe usne ek chote se bache ko bhej diya.wo bachha nishant ke pass gaya.nishant us bache se baate karne laga.tabhi us bache ke mummy papa uske pass aaye or kaha tum hamare bache ko kyu le aye.jante ho hum kitni paresa the.are tum kya samjhoge ek maa or papa ke dil ka dard.jab unka bachha najro se dur hota he to kitni taklif hoti he.kabhi apne maa papa ke bare me sochte ho?unki baat sun kar nishant wahan se chala gaya.jab wo ghar aaya to dadi ne use ek cd dhikhayi.usne jab wo cd computer me dala to usme uske bachpan ka video tha.wo dekh kar use apne bachpan ki yaad aagayi.jo waqt usne apne parents ke sath.fir v wo apne kamre me chala gaya.dadi samajh gayi uske dil ka haal.unhone us raat uske liye aalu ki sabji banayi.jab wo khana khane betha use apni maa ki yaad aa gayi.lekin usne kuch nehi kaha.dusre din uske maa ne use call kia.
pata nehi kyu is bar nishant ka v dil hua wo unse baat kare.unse baate karne ke wqt hi uske ankho se asu nikal ne lage.unhone kaha beta me janti hut um naraj ho lekin ham se milne ek baar to aa jao.ho sakta he kal ko ham na ho akhri baar samajhke aa jao.unki bate sun kar nishant kuch ghabra gaya.wo kehne laga me jarur aaunga. ek din jab wo college gaya to trishna ne uske hath me ek friendship bend bandh diya or kaha happy friendship day.uski baat sun kar nishant gussa ho gaya.uski sabr ab khatm ho chukka tha.usne use kaha tumhe ek bar kehne se samajh nehi ata kya.bar bar me tumhe yahi kehta hu mujhse dur raho fir tum kyu aati ho mere pass?dekho mujhe tumse dosti to dur ki baat he baat v nehi karni he samjhi.to jitna jaldi tum ye samajh lo utna hi achha hoga tumhare liye.mere jindagi se dur chali jao tum.mujhe tumhari sakal v nehi dekhni.usne bend nikalke uske hath me de diya or wahan se chala gaya.uske jane ke baad trishna usi ki taraf dekh rahi thiuske ankho se asu nikalte hi jaa rahe the.wo khud se yahi keh rahi thi agar tum chahte ho to me tumhari jindagi se chali jaungi lekin usse pehle kuch kaam khatm karna he mujhe.tumhe tumari khusi wapas lake dena he.1mahine baad unka exam tha.exam ke baad nishant apne ghar jane wala tha.usse pehle ek din wo apne dosto ke sath ghumne gaya tha.
wo ek jagah khada hoke baat kar raha tha.tabhiuska ek dost kisi kaam se raste ke dusre taraf jaa raha tha.tabhi uska accident ho gaya.ye dekh kar sare dost bhagte hue uske pass gaye.nishant bahat ghabra gaya tha.wo log jaldi se use hospital le gaye.pehli baar nishant ke ankho me sabne asu dekha.wo bahat paresan ho gaya tha.bar bar doctor se puch raha tha uska dost kesa he.jab doctor aake bole ki use jyada kuch nehi hua he.wo thik he ab tab ye sun kar nishant bahat khus ho gaya.itna ki usne wahan pe jo dost the unhe gale se laga liya.un logo ke liye to jese ye sab bilkul herani ki baat thi.wo pehli baar nishant ke is rup ko dekh rahe the.wo log v bahat khus ho gaye.kuch din baad nishant apne ghar jane ke liye nikla.wo apne sath apne dost or dadi ko v le aaya.jab wo ghar pahuncha uske maa papa bahar hi uska wait kar rahe the.uske ane ke baad uske papa ne use gale se laga liya.sab bahat khus theuski maa use dekh ke rone lagi.tab usne unke asu poche or kaha ab or mat ro.uske dost kuch din uske ghar me hi rukne wale the.usne dadi ko v apne parents se mila diya.dusre din uske dosto ne use uske seher dikhane ko kaha.wo unhe ghumane le gaya.kuch der ghumne ke baad un logo ne kaha hame apna school nehi dikhaoge?wo unhe mana nehi kar paya.wo sab uske school dekhne gaye.wahan par jate hi nishant ek um se chup ho gaya.
jab sare dost school dekh rahe the tab nishant school ke garden me chala gaya.uske ek dost ne use dekh liya tha to wo uske piche jane laga.nishant ek ped ke pass jaa kar kuch dhund raha tha.tabhi us dost aaya or puchha kuch dhund rahe ho.nishant ke muh se nikal gaya haan wo sravan or mene yahan likha tha.uske dost ne kaha kya?usne kaha nehi nehi kuchnehi.is bich use wo mil gaya jo wo dhund raha tha.usped pe likha tha nishant & sravan or do smily v banaya gaya tha.nishant ne uske upar apna hath rakha or apni ankhe band karli.uske ankho se asu nikal gaye.uske dost ne puchha ye sravan kaun he?sach batao mujhe.dil me jo dard he mere sath share kar lo.nishant uske sath wahan ke bench pe beth ke kehne laga suno jab me is school me padhta tha 6th class me tab mera ek dost tha.uska naam sravan tha.wo sirf dost nehi mera sabse achha dost tha.hum ek dusre se kabhi dur nehi reh sakte the.hum ek sath khelte the,padhte the,or sab kuch ek sath karte the.sravan to mujhe sabse jyada pyar karta tha.ek din uska accident ho gaya.doctors ne kaha wo chal nehi sakega.ye sun kar wo bahat dukhi ho gaya.usse v jyada me dukhi ho gaya.lekin fir v mene use hasla dene ki kosis karta tha.tabse wo school me wheel chair me aayafir v wo mera best friend raha.kuch din ache se gaya.ek din hamare class teacher ne mujhe bulaya or mujhe datne lagi
ye keh kar ki mene sravan ko paresan kia he.yesun kar me heran ho gaya.jab me class me aaya to ek ladke ne mujhe kaha ki sravan ne mere bareme complain kia he teacherse.ye sun kar mujhe bahat gussa aaya.mene sravan se baat karna bandkardiya.me to uske pass v nehi betha.ye sab dekh ke sravan ko bahat dukh hua.usne mujhe ek letter likha.lekin mene wo nehi padha.use mere ek bag me rakh diya.kuch din baad mera birthday tha.me bahat khus tha.us din jab me school gaya sabne mujhe wish kiya.jab sravan mujhe wish karne aaya to me wahan se chala gaya.kuch der baad uske pass wo ladka aaya jisne mujhe sravan ke bare me bataya tha.usne kaha sorry nishant mene tujhe jhut bola tha.sravan ne teacher se kuch nehi kaha.wo upar ke class ke bade ladko ne mujhe ye sab karne ko kaha.mujhe maafkarde.ye sun kar me bahat paresan ho gaya.me use dhundte hue upstairs me gaya.tab mene dekha sravan wahan tha.kuch bade ladke uske pass khade the.wo usse keh rahe the tu hamari complain karega teacher se.teri itni himmat.usne kaha mene kuch nehi kaha.mujhe jane do.un logo ne uska wheel chair chin liya.uske pakadke un logo ne mara.wo wahan se jaa hi rahe the tab sravan ne kaha meri wheel chair to de do.tab unme se ek ne kaha tera wo dost he na wo dega tujhe wheel chair.
uske baad un logone use wahan pe chod ke jaa hi rahe the.tabhi sravan ka haath diwaro se chut gaya.wo chat se niche gir gaya.wo log wahan se chale gaye.sravan us din mujhe chodke hamesa ke liye chala gaya.tabse me apne aapko maaf nehi kar paa raha hu.kyu ki mene usse baat karni band kar di thi.aaj v mere ankho me wo hadsa najar aata he to me khud ko sambhal nehi pata.sravan bahat achha tha.sayad usi achhai ke liye hi uske sath ye sab hua.asal me to uski koi galti hi nehi thi.fir kyu?ye bol ke wo or v rone laga.mene us ek hadse ki wajah se mere sare riste ko bhul gaya.uske dost ne use kaha mujhe umeed he sravan jahan v he wo yahi chah raha hoga kit tum hamesa khus raho.aaj tum pehle jese nishant ban gaye ho.wo masum sa hamra dost nishant.sravan tumhare pass nehi he lekin hum sab tumhare pass he.jab v tumhe uski yaad aaye to tum hamare gale lag ke ro sakte ho.tab tak sare dost wahan aa gaye the.sab nishant ke pass aye or use gale lagaya.unlogo ne kaha hum tumhe bahat pyar karte he yaar.sravan kahin nehi gaya wo hamesa tumhare dil me he.sab ikathe ek dusre ko gale lagaya.sab ki ankho me asu the.us din se nishant badal sa gaya.sabse ache se milne laga.khus rehne laga.ek din uske dosto ne use ek iary dikhayi jisme unke study tour ke photos dikhaya.usme trishna ki photo v tha.
wo dekh kar sab uske bare me baat karne lage.ek dost ne kaha chup karo warna nishant fir gussa hoga.dusre ne puchha wese nishant tu ek baat bata tu usse itna naraj kyu reh tat ha.nishant ke pass koi jawab nehi tha.ek dost ne kaha wese wo achhi ladki he yaar.use naraj mat raho.unki baate sun kar ab nishant v uske bare me sochne laga.use laga ki uski narajgi to bebuniaad tha.lekin wo ab usse naraj nehi he.colllege jane ke baad wo usse baat kar lega.ek din uske mummy ne use trishna ke bare me puchha to wo chak gaya.usne kaha tum use kese janti ho?unhone kaha wo to ghar pe aayi thi tumhare bare me puchne.bahat achi ladki he.aaj tum hamare pass aye to sirf uski wajah se.dadi ne v use sab kuch keh diya.unki bate sun kar trishna ke liye uske dil me ijat or v badh gaya.wo ab kuch jyada hi sochne laga tha.jab v uski bate hoti thi uske chehre pe ek smile aa jati thi.wo khud v nehi jan paya ki wo use pasand karne laga he.uske ek dost ne ek din use bulake use ek letter or ek box diya.jab nishant ne wo letter khola usme likhatha nishant, me janti hut tum naraj ho mujhse.lekin ye akhri bar meri baat sun lo.ye box tumhara he.isiliye mene ise nehi khola.ye sahi waqt he jab tum ise khol sakte ho. Trishna Usne jab wo box khola usme ek statue tha jo ki do dosto ki thi.wo ek gift tha jise sravan ne use diya tha akhri baar.
use dekh kar wo khus ho gaya.sath hi sath use sravan ki yaad v aa gayi.usne apne dost se pucha trishna ne ye kese bheja use ye kese mila?uske dost ne use sab bataya.kese trishna ne hi uske liye itna sab kia.uski baat sunkar nishant kolaga usne kitna galat kiya uske sath.wo aaj tak meri khusio ke liye sab kuch kia.lekin mene use sirf dard hi diya.ab or nehi uski har asu ko me poch lunga.use wo har khusi dunga jo use mila hi nehi.wo ab trishna ke liye kuch mehsus karne laga tha.kuch din baad college khul gaya.wo sab college ke liye wapis laut aaye.nishant bahat khus tha trishna se milne ke liye.jab wo college gaya usne trishna ko dhunda lekin use wo nehi mili.usne socha sayad aaj college nehi aayi.fir wo amit sir ke pass gaya.use dekh kar wo bahat khus hue.unhone kaha sach me trishna ne tumhe bilkul badal diya.unki bate sun kar nishant bahat khus hua.wo class me gaya to use trishna ki har ek baat yaad aane lagi.wo usse milna chahta tha.kuch din bit gaye lekin trishna college nehi ayi.nishant paresaan ho gaya.usne trishna ki ek saheli se uska address liya or uske ghar chali gayi.jab wo ghar pahuncha trishna ghar pe nehi thi.uski nanit thi.unhone nishant ko sab kuch bataya.unhone kaha wo yahan nehi he.dusre seher chali gayi.sirf tumhari khusi ke liye.aaj tak wo sirf tumhari khusi chahti thi.or aaj v.tumhari muskan wapas lane ke liye usne sab kuch kiya.jab uska maksad pura hua wo yahan se chali gayi.or ye v tumhari khusi ke liye kyu ki tumne hi use kaha than a tumhari jindagi se dur jane ko.unki baate sun kar nishant ko yaad aa gaya usne trishna ko dur jane ko kaha tha.ye soch kar use bahat bura laga.usne nani se puchha lekin wo mere liye ye sab kyu kar rahi thi.
me to hamesa se usse naraj tha.nani ne kaha kyu ki wo tumse bahat pyar karti thi.khud se v jyada chahti thi tumhe.tumahari khusi hi chahi thi usne.lekin isi bich wo khud ki khusi ko hi bhul gayi.wese usne tumhare liye kuch rakha he apne kamre me.tum dekhlo.nishant jab uske kamre me gaya wahan kuch tha jise kapde se Dhaka gaya tha.usne jab wo kapda hataya to usne dekha ki wo uski khud ki tasweer he jo ki trishna ne banaya tha.use yaad aaya ki trishna ne use kaha thaw o painting sikhegi.wo heran ho gaya usko dekh ke.wo sochne laga wo mujhse itna pyar karti thime use samajh hi nehi paya.usne nani se kaha me use wapas le ke aaunga.usne nani se puchha wok is seher me he or wo us seher ke liye nikal gaya.wahan pe pahunch ke wo use dhundne laga.lekin use wo kahin pe v nehi mili.wo ek park me jake betha tha.tabhi kuch bache sor karke wahan se jaa rahe the.unke pass kuch tasweer tha.nishant ne unme se ek bache ko bulake wo tasweer dekhi.wo dekh kar uske chehre par ek smile aa gayi.kyu ki wo tasweer uski hi thi jisme woe k puppy se khel raha he.un bacho se usne pucha ye kisne diya.unlogo ne kaha ek didi ne diya.wo samajh gaya ye trishna hi he.usne un bacho ko dhire se kuch kaha.kuch der baad wo log trishna ke pass gaye.
un sab ne ek sath kaha I’m sorry or sabne ek sath usko ful di.ye sab dekh kar trishna heran ho gayi.usne pucha ye kya he?un logo ne kaha wo bhaiya ne ye karne ko kaha..jab trishna ne dekha to uske samne nishant khada tha.wo bache wahan se chale gaye.trishna chup thi.tabhi nishant uske pass aaya.dono ek dusre ki akhome dekh rahe the.kuch der baad nishant ne kaha ab tak naraj ho?trishna ne kaha naraj to tum ho mujhse.me to kabhi tumse naraj thi hi nehi tumse.nishant uske or karib gaya or puchhne laga itna pyar karti ho mujhse?trishna kuch keh nehi paayi.nishant ne fir se kaha chod ke to chali aayi mujhe lekin apne sath mere dil ko le aayi.trishna ne kaha matlab?nishant ne uska haat pakad liya or kaha matlab me tumse pyar karta hu.I love you trishna.kya tum mujhe apnaogi?trishna ke ankho se anshu nikalte jaa rahe the.nishant ne wo asu poche or kaha bas ab or asu nehi.ab tumhare sare asu mere.usne trishna ko hug kar liya.trishna ke ankho se fir se khusi ke asu nikal gaye.ese hi trishna ko apna nishant mil gaya or nishant ko ek apna sacha pyar. Dosto is story me sirf ek ladak or ladki nehi balki har wo rista he jo ki pyar ko dikhata he.jaruri to nehi ki sirf ladka ladki ek dusre se pyar kare.or jaruri nehi ki har pyar me ijhar jaruri hota he.sachi mohabbat to wo he
jo ek dusre ke khusi me hi apni khusi dhund le.Magar aap apna view jarur de. Dosto ek or baat ise meri last story samajh ke padhlena kyu ki kuch prblms ki wajah se me ab stories post nehi kar paungi.ok


No comments: